sach ka dayra chota ho gaya hai,
main, mera mazhab, meri jamat, mera mohalla, mera ghar
Aur iske pare -
Tum, tumhara mazhab, tumhari jamat, tumhara mohalla, tumhara ghar
main apne gharon ke seeshon ke aage
takhtiyan laga kar
ek dhela uthata hoon,
tum apni deewaron ki dararon se
teer chalate ho
sang takrate hain
tilak aur topi se,
teer bindhte hain use
jo sar utha ke chalta hai
mera sach
mere angan mein simat jata hai,
tumhara sach
deewaron se jhantka tak nahi
koi munsib bhi bhala kaise faisla de de,
aankhein moonde woh padle ka wajan tolta hai...
kabhi mera pathhar bhari padta hai,
kabhi tumhara tarkash
aur sach
andhe kuen mein kood ke mar jata hai
No comments:
Post a Comment