Friday, March 23, 2018

Nazm

Woh kore kagaz le kar hathon mein
Kitni nazmein padhta hai!
Nazrein rengti hain
Khali safhon per
Ki jaise safed kaai mein dafn
Ankur tatolti hon.
Lufz der lufz kholta hai
Woh har raaz
Jo maine
Parcham sa lapeta thha!
Mujhe to ilm hi na thha
Na hi shubha kiya koi
Ki mere parcham ke dhabbon per
Woh yun nazrein gadaye thha!
Kore kagaz haathon mein le
Wo wohi dastaan kehta hai
Ki likh de gar jinhe wo kahin
To kagaz hi jal utthe -
Aur bas khaak haath aaye!

No comments: