Friday, March 23, 2018

Khali hai hatheli

Mere hathon mein Gulal hai bas
Aur kuch nahi
Khali hai hatheli
 Kuch lakirein hain
Tedhi medhi
Jo ghis gayi hain ab
Taqdeer ka pata nahi batati..
Dekho-
Koi nazm nahi hai
Gulal hai bas, sachchi.
Yeh lali  kagaz tak lay gaya to
Aaina ban jayegi
Jisme rang o gulal ke piche chupa 
har chehra dikhayi dega...
Per woh sab aur kabhi
Aaj lufzon se nahi
Rangon se khelne do holi
Tum bhi khelo...
Kuch rang laga lo chehre per
Fika pad gaya hai.

No comments: