Friday, March 23, 2018

Saamna

Apni tasveer dekhta hai bas,
Har koi aaeena nahi rakhta-
Deed chashmon se chhup kar guzri-
Ab koi saamna nahi karta.  

Kamaal- e- Kalaam

Jo likha tha, tumne padh liya
Harf_on mein bayaan e haal tha
Per lufzon mein uljha hua
Ek ankaha sa sawal tha...
Tum padh ke bhi nadaa_n rahe
Hum kah ke bhi kahan keh sake
Lufzon mein lipti Khamoshiyan
Nazron ki phir gustakhiyan
Yeh guftgu kuch ajeeb thhi
Kuch alag hi kamaal e kalaam tha!  

Haqeeqat


Neend bhi hum ab dukaano se kharid laate hain,
Khwab kya dekhengi yeh khauf zada si aankhen
Yeh jo jindaa_n hain na, lohe ke nahi, darr ke hain
Inme chupi baithi hain kuch saans leti si laashein

Rangon ki batein

Asmaan utrta hai nile pani mein
Kahin surkh shaam ka parcham doob jaata hai
bal dhoti hain kali ghatayein bhi kabhi
Yeh berang paani kitne rang chadhata hai!
Per ye aansu hai na, berang hai khud
Aur na hi koi rang isse bhata hai
rukhsar ki surkhi dho deta hai yeh
To kala Kajal faila deta hai kabhi
Chup rehna iski adat hi nahi-
Raaj sabhi khol deta ha yeh.
Dariya ka pani to kitna mitha hai
Rangon se sharbat yeh banata hai.
Ansu ka namak per koi chakhta nahi...
Namak ka karz utha sake ta umr
aisa dost kahan hota hai!  

Main Zinda Hoon

Jo dhal gaya to bhi kal phir aaoonga aye dost
Bujhe huye chirag ko bas aatish to chahiye
Mera wajood in tariqion mein kho na sakega
Meri zeest ko bas ek teri khwahish to chahiye

Aaj ke Shahenshon ke naam

Woh suraj ban ke chamka hai
Hum badal ban ker chayenge
Woh aag hai bujh jayega
Hum thandak de kar jayenge
Har subah ki hasti shaam talak,
Woh bhul gay hai, jaane do
Hum dharon pe behti kashti ko
Sahil tak pahuchayenge
Yeh  singhasan jab dolega
woh taish mein her rang dho dega
Tab kachche rang utar ke hum
Sada parcham lehrayenge
- Nidhi  22:

Kya zaroori hai...

Har raz sar-e-aam ho zaroori to nahi hai
Har rishte ka ek naam ho zaroori to nahi hai
Ek hawa mein le ke saans main uski dulhan bani
Sitaron se bhare maang ye zaroori to nahi hai!

Nazm

Woh kore kagaz le kar hathon mein
Kitni nazmein padhta hai!
Nazrein rengti hain
Khali safhon per
Ki jaise safed kaai mein dafn
Ankur tatolti hon.
Lufz der lufz kholta hai
Woh har raaz
Jo maine
Parcham sa lapeta thha!
Mujhe to ilm hi na thha
Na hi shubha kiya koi
Ki mere parcham ke dhabbon per
Woh yun nazrein gadaye thha!
Kore kagaz haathon mein le
Wo wohi dastaan kehta hai
Ki likh de gar jinhe wo kahin
To kagaz hi jal utthe -
Aur bas khaak haath aaye!

Sachchi

Us duniya ki aas nahi
Iss duniya ka khauf nahi
Mera dilbar dil mein hai
Kya hua jo mere pass nahi...

Waldein ke naam


Sabhi parents ke naam...
Humne bachchon ko patangein to la kaar de di
Dor ab tak per apni ungaliyon pe hi uljhai hai
Unki aankhon ko apne sapno ki duhai de kar
Unki lau apni zard ummeedon se bujhai hai..

Dhundli Rahein

Hum dono ka ye waqya
Hum dono tak hi na raha
Meri baat tum tak na rahi
Tera ranj mujh tak na raha!

Ye jo ufaq per gubar hai na,
Dhuan hai bhujti aanch ka-
Is dhundalke mein koi rah dikhe
Yeh aasra tak na raha!

Udhade Rishte


Chak jigar dikhta thha pehle
Ab siwan sab dikhti hai
Tere mere rishte yun udhde
Rafu bhi hon to tees lage...

Khali Panna

Surkh, zard, nili, syah
Har rang ki syahi liye baithi hoon...
ls safed kagaz per
Kis rang ke hurf utaroon?
Zindagi to bas shatranj ki bisaat nahi
Yeh just to bas ek shah aur maat nahi
Chaushath khano mein bandhi
Jo safed aur syah mohro mein thani h
Pal pal chubhti ek jadd-O-jehad hai jist
Jo kabhi khusrang hai
Kabhi phiki phiki
Kabhi purnoor, kabhi riti riti
Khwabon ke satrangi pankh hain isme
Ummedon ki ujli tarang hai isme
Udasi bhi apni berang kahan hai-
Nit naye rango ki lehren rawa_n hain
Sawan ka shabza kabhi
Nazron mein chubhta hai
Kabhi bhoori mitti ka
mas khatakta hai
Nile se ambar pe shaam ka sona
Kabhi shyah shab ka ruphla khilona
Kuch chitkabri si yadein
Kuch dhundle se saaye
Aur dhanak ki khanak liye
Shaam ki chai...
Kitne ye rang jeevan se jude hain...
ltni syahi main kahan se laun
Behtar hai panna safed hi chhod jaaun.

Gumnaam Dakiye ke Naam....


Na ab khat likhta hai koi
Na koi naamwar aata hai
Hawaon mein tairta hua ek "message" bhar aata hai
Jisme na lufz poore hote hain
Na bayaan
Na kasak hoti hai intezar ki
Na aamad ka josh
Aadhe adhure afsaane sunata
Zaldbazi ke rishte banata
yeh "message" ka chalan
Na sukoon deta hai dil ko
Na seene mein jalan
Ab in me teri khusboo hai
Na tera mas
Kuch lufz hain bemani se... bas

Khali hai hatheli

Mere hathon mein Gulal hai bas
Aur kuch nahi
Khali hai hatheli
 Kuch lakirein hain
Tedhi medhi
Jo ghis gayi hain ab
Taqdeer ka pata nahi batati..
Dekho-
Koi nazm nahi hai
Gulal hai bas, sachchi.
Yeh lali  kagaz tak lay gaya to
Aaina ban jayegi
Jisme rang o gulal ke piche chupa 
har chehra dikhayi dega...
Per woh sab aur kabhi
Aaj lufzon se nahi
Rangon se khelne do holi
Tum bhi khelo...
Kuch rang laga lo chehre per
Fika pad gaya hai.

Rang hai na...


Who dekho ja rahi hai berang zindagi
Rang do use
Bhiga do uska daman
Bahut dino se
Khusk hai
Chubhti rehti hai...
Thodi nami to aaye aankhon mein
Dhul to jayen adhmare khwabon ke dhabbe...
Holi hai
Khoon ke ansoo bhi gulal nazar aayenge...
Rang hai na...

Khalish

Itni baatein banate hain phir bhi
Karne ko baat kuch nahi hoti
Roz milte hain, Roz hanste hai
Yeh khalish to phir bhi kam nahi hoti

Waham

Humne khushgawari ke kaise waham pale hain
Tumne dekha hi nahi meri muskurahat ke parre...

Guftgu

Baat karoon to baat chalegi
Hum dono mein baat rahegi
Mujh se tum tak, tum se mujh tak
Lufzon ki aukat rahegi
Per deewarein aur dararein
Apne sab alfaz sunengi
Mayne to sab jhar jayenge
Shabdon ke bas teer chalenge
Hum dono kuch aur bidhenge
Ghav lagenge
Zakhm risenge
Kuch naasoor si ghat lagegi
Choro, Kya karna hai keh ke
Baat Kari, to baat badhegi.

Thursday, March 22, 2018

some pages are better left un-turned...

some pages are better left un-turned...

the taste of yellowing pages
on the tongue
the moistening saliva
on the thumb
mark the pages 
with a definite impression
it reeks of possession
of ownership
of something that was never meant
to be owned or possessed

the pages, 
lose their starchy uprightness
and crackling stiffness
with dew of time
the lightness
that draws in
with maturity
leaves them open
to winds of change
let them flutter
in the breeze,
turn if they like
let's not finger in the change
and make a perfectly upright book,
dogeared.

some stories are better left unfinished
some tales are better left untold
some pages are better left,un-turned.

Thursday, March 15, 2018

Dreams Must Explain Themselves

They are not the culprits, the eyes...
no, not at all-
for, they are shut, tight
lids closed,
to sight, light.

In the darkness
they creep-
their steps
heavy, loud, reverberating..
or subtle and stealthy.

They enter the quiet
the peace of void
of nothing, but nothingness
that surround.

In the colorless darkness
they play tricks
create shadows
of myriad shapes,
speak in voices -
heard, lost or imagined.

Ephemeral -
the illusions
that entice
surprise
reprise.

Why they arrive
in my sleep-
dreams must explain themselves,
tonight.