ab loriyon se humme neend kahan aati hai,
ab raat dahshat_on ke saaye mein kaati jati hai
khuda ke naam se bhi khauf hota hai ab to
qurbani eid se pehle bapa ho jati hai
haath uthein duaon mein, kahan mumkin hai
sar sajde mein ho to bhi kalam hote hain
koi bandook se maare hume uske pehle
bharosa uthta hai khuda se, khala aati hai
yeh mujahira hai siyasat ka, jo tabahi hai
naslein nafrat ke talatum mein samayi jaati hain
jin haathon ko sanwarna tha mustaqbil sabka
unki lakiron mein dahshat basayi jati hai
gar khuda hai kaheen to phir se zameen per aaye
phir se ummeed jage duaon mein asar aaye
phir se maa_on ki god mein sukoon barpaye
ke, loriyon se humme neend kahan aati hai....
No comments:
Post a Comment