Wednesday, January 22, 2020

Kagaz ki bisaat

Baitha hai jo kohre mein lipat kar
Beghar se ghar ka pata poochte ho
Mala mein goonthe, chadar mein taanke
Phoolon se unki kaba poochte hai
Chand kagzon pe mohar laga kar
Meri watan se wafa tolte ho
Kaun ho tum, tumhari hasti hi kya hai
Kyun itna tum bewajah bolte ho
Itrate phirte ho tum jiske dam per
Mud jayegi woh lahar dekh lena
Jo aaj mujh per tum dha rahe ho
Lautega tum pe kahar dekh Lena.. 

Bol Gar Lab Azad Hain Tere...

Bol gar lab azad hain tere,
keh jo zabaan ab tak teri hai...
Ab bhi na kaha
to Dafn ho jayenge hum
jinda kabr mein
Aur hamari nasl e nau
is goongi maut ka
matam bhi na manayegi
Ab bhi chup rahe
to khoon barf sa jam jayega
Nabz ruk jayegi
aur saans ghut jayegi
Ab to bolo ke
hadd toot chuki hai sari
Hukramon ki faseelon se
kahar hai jaari
Khoon behta hai sadak per
Paaon fisalte hain
Jin hathon mein kalam thhi
Unme Sang dikhte hain
Ab to cheekho
ke behri saltanat sun le
Ab to cheekho ke
khoon ki siyasat dole
Chup rehna ab gaddari hai
Bol jo tujhme khuddari hai
Bol gar zabaan ab tak teri hai