Tuesday, May 28, 2019

Azad Parinde

Kyunkar bandhan bandhoon tumse
Bandhan mein girhein hoti hain
Ho ummeed ki ya ulftat ki
Dori mein uljhan hoti hai
Jeene ki hasrat rakhti hoon
Kaise tum pe mar jaaoon
Ba-hosh mohabbat karti hoon main
Kyun deewani kehlaoon
Yeh lufzon ke pher hain saare
Sab suni sunayi baatein hain
Hum tum do azad parinde
Chalo sang udd jate hain.

Hichki

Mehfil mein mera zikr nahi
kisi ko meri fikr nahi
Mayoos sa main rukhsat jo hua
Ik hichki ne mujhko rok liya

Aaj Ki Tasveer

Har raat ki subah hoti hai
Har sahar ki shaam hoti hai
Har Ram ki shaan rakhne ko
Sita badnaam hoti hai
Jo chup chup se rehte hain yahan
Woh saare bezubaan nahi
Per apni baat jo keh den to
Har maa pareshan hoti hai...
Is kaha-suni ke daur mein ab
Tehrir kahan taqrir kahan
Zaban se khoon tapakta hai
Talwon mein shaan hoti hai..